Unn lamhon ka kya hai,
Jo waqt ke saath behte ja rahe hain
Kya woh humare hain?
Shayad nahi,
Shayad haan.
Woh silsile aaj ke nahin
Jin sab mein hum aaj bhi chale ja rahe hain
Woh waqt hi hai shayad,
Jo humara saathi hai
Par kya who humara hai?
Guzar toh raha hai samay,
Ek waqt hum jeete the
Aaj bhi,
Aksar,
Aur shayad har din
Mujhe woh yaad aata hai
Woh waqt jisme hum mehfooz the
Gustaki maaf ! Har ek baar, hamesha rahegi
Kyunki sirf un palon par haq hai,
Jin sab mein hum aaj bhi jiye jaa rahe hain
Ye dua hai
Jo shayad kabool na ho
Ya shayad meherbaan ye samay ho jaaye
Ki waqt jo humara tha,
Woh pralay nahi
Beparvah woh naseeb hi gawah ban jaaye...

Brilliant and Eloquent. Enjoyed the "pal" very much. :p
ReplyDelete