Tuesday, 24 December 2013

Bulla,ki jaana main kaun


Stumbling
Maine iss zameen ko, khule aasman ko,sitaron ko kai baar dekha hai
Taqdeer ne iss safar mein mera saath kuch pal mera saath nibhaya,
Iss safar mein ,jo begana hai
Maine samjhauton mein kabhi na kuch paaya,
Aaj jo ye kabool kiya hai,bas yehi gawa diya hai
Ye bhi shikwa nahi
Ye na hi shikayat hai
Ye sirf meri zindagi, meri kahani hai.

Dwindling
Kuch samay se, ek khwab sajaye baithi hoon
Kuch pal se wo beeta jar raha hai
Mera har ek pal, samay ke vipreet tham jaane ka khwab sajaye hue
Mera ban baitha hai
Malum hai mujhe ki ye mumkin nahin
Ye khwab bhi pura mera kahan hai…
Ye unn palon ki virasat hai, jinhe ab samay sammeth baitha hai.

Hope
“Umeed pe hi duniya kayam hai” aisa suna hai maine
Par kya har ek se iska vaasta hai?
Har yaad, har khwaish amal ho jaate toh baat hi kya thi
Aisi rangeen duniya hi kahan hai
Par aaj darr nahin lagta,
Aaj maine hi ye kabool kar liya hai
Umeed se pare, shayad jeena hi dushwar hai

Identity
Din beet jaate hain
Raat se kuch shikwe hain mujhe
Kabhi uss hi ke luft mein leen, badal jaane ka mann ho jaata hai
Wahi, jise ab begana kaha jaata hai.
Pukar
Meri hi thi wo, main hi thi, samay se pare
Pukar
Kuch sambhli, kuch bechaen,
Kuch nidarr,kuch sehmi,
Kuch apni,kuch parayi
Apne aap se door,
Mujh se door,
Meri pukar.