Bekaraar zindagi ko sambhalne ka waqt hi kahan hai,
Waqt mein masruf toh kayi hain,
Par kya waqt ka mohtaj bhi koi hai?
Kya pehchana hai kisi ne ki shayad hum aaj bhi wahin hai,
jahan hum the kabhi
Ye kal aur aaj sab kuch, yahin, yahin hai.
Faaslon se shayad dosti badi hai hume aaj kal,
Ke woh ek haseen jo saath hai, kareeb hai par saath nahi hai
Ye gham hume aaj se nahi, gham humse nahi hai,
Ye gham hume waqt se hai,
Waqt begana hi sahi, humara bhi nahi hai..
Phir kyun waqt ki aad mein zindagi humse door khadi hai?
Jee ley, aaj yahin, yahin zindagi hai.
